Monday, 29 September 2014

Kahun Kaise.....

कहूँ कैसे, कैसे कहूँ,
बयां ये दर्द कैसे करूँ;
हदों से भी हद 
हो चुकी है पार 
मुस्कुराना भी अब 
मैं भूल चुकी हूँ 

छुपा रखा था परदे में 
हर दर्द सिमटाकर रखा था 
धूल जमी है यादों की 
जिस चादर से ढंके रखा था 
उसपर सिलवटों का बोलबाला है 
बीती यादों ने अब तो 
हसरतों को भी जंग डाला है 

कहूँ कैसे, कैसे कहूँ 
बयां ये दर्द कैसे करूँ 

Friday, 29 August 2014

Zindagi Sabar Hai

यह ज़िंदगी एक ऐसी सेहर है 
अंजानी सी एक डगर है 
फीकी पड़ती है जब रौशनी 
आने वाला अंधेरों का पल है 
पूछते हैं तारे भी अब 
किधर तेरा हमसफ़र है ;

आाँखें बंद किये,
बेवजह गुम  सी उसके खयालों  में 
उम्मीदों को बढाते हुए 
बस चली जा रही हूँ ,
आखिर ज़िंदगी का दूसरा नाम सबर है  

Thursday, 28 August 2014

Yaad Tumhaari Aati Hai

Mann ki anjaan gehraiyon mein
jahan dil simat kar rota hai,
Jahan rooh kabhi ghabraati hai,
Wahan yaad tumhaari aati hai !

Har ek ashq jab kehta hai
Kyon har baar mujhhe bulaati hai
gaalon par yu phisalte hain
benaam se gum hojaate hain
Wahan yaad tumhaari aati hai !

Kuchh lafz kam pad jaate hain,
Kuchh lamhein chhote reh jaate hain
jab tak sambhal main paati hu
Ek chot phir lag jaati hai
Wahan yaad tumhaari aati hai
Bas yaad tumhaari aati hai !

Friday, 22 August 2014

Asmanjas

Koshishein bhi kee
Minnatein bhi kee
Deede kholkar raat bhar
Maangee mannatein bhi
Par pheekee padgayee hai
Maano har koshish
Anne wale har pal se
Ab jee ghabrata hai
Kaise bayaan karu ab
Kuchh lafz baaki nahi aur
Ab toh mann ki mann ko
Sunnee khud hi padegee
Dil ke asmanjas bhare toofan ko
Ab toh thhehraade koi ! 

?

Roothha hua hai sab kuchh
kashti dagmaga rahi hai
har beeta hua lamha
silsila banta jaa raha hai
ummeed ghhat rahi hai
chahtein kam ho rahi hain
samajhh se bahar ho chuka hai ab
ki zindagee jaa kis or rahi hai 

Wednesday, 20 August 2014

Waqt Toh Bas Ret Hai

Samajhna ek doosre ko
Kyon mushkil ho jata hai kabhi kabhi
Itna ki saath kiye wade
Sab befizool se lagte hain
Kuchh toh kaheen toh
Chhoot raha hai muthhi se
Phisalta jaa raha hai ret ki tarah
Par pakad banane ki koshish se maano
Jo hai, woh bhi saath chhod raha hai
aakhir kiska zor chala hai 
iske har ek acharaj par
Waqt to bas ret hai !

Saturday, 28 June 2014

Waqt aa gaya hai....

Aahat huee hai kuchh,
Ek awaaz si huee hai,
Chownke hain yeh kaan,
Maano kisi daal se,
Sookha patta koi gira ho.

Aahat hai yeh toh,
Kadmon ki kisike,
Dikh rahi hai jaise,
Ek tez roshni si.

Ehsaas phir yeh hua,
Ki aagaya hai woh aakhir,
Lene ko mujhhe,
Ki aazad aaj yeh rooh hogee.

Raakh hone ka waqt aa gaya hai,
Iss shareer se rooh ka
Alag hone ka waqt aa gaya hai,
Ki sabse
Ab vidaa lene ka waqt aa gaya hai.

Saturday, 21 June 2014

Kho Diya Hai Tumne Mujhhe....

Itna nahi thha ashaant yeh mann,
Jitna umad raha hai
Toofaan aaj ismein,
Samajhna nahi ki aapa
Kho baithhee hu main,
Kyonki zalzala yeh laae tumhee ho.

Kyon insaan mukar jata hai,
Vaadon se apne,
Kyon bhool jata hai,
Woh nibhhani thhee jo kasmein?

Khair ab hai ho chukee bohot der,
Bacha nahi hai rishta koi dil ka.
Chalte rehna hai bas yuhee,
Saath jabtak yeh kadam denge,
Kise pata kal zindagi meri,
Koi mod alag lele.

Khokar mujhhe koi bhi,
Pachhtawa tum na karna,
Kyonki ab toh humdum,
Gunjaesh uski bhi na rahi.

Maaf karna mujhhe,
Ki chaahkar bhi iss dil mein,
Pyaar woh nahi laa sakti hu ab,
Kyonki baar baar thhokaron se toh,
Pathhar bhi tootjaate hain.

Kadar ki nahi tumne,
Chot jab bhi dil ko dee,
Ki ab woh sirf chot nahi,
Kabhi na bhare woh ghaav bangae hain.

Saath bhale hi rehna ho
Par lagaav nahi raha koi,
Thhak gaee hu ab toh rote rote bhi,
Maayne kho chuke hain aansu bhi apne.

Bikhre hue ko jodne ka,
Faayda ab kuchh nahi,
Kho diya hai tumne mujhhe,
Ki main ab tumhaari kuchh bhi nahi !

Friday, 20 June 2014

Rehmat Kar

Poochhta jo ek baar,
mujhhse woh khuda;
kya jaana hai zameen par,
ae rooh tujhhe?
sar hilakar mana kardeti,
aana nahi thha ,
iss jism ki paushakh mein mujhhe;
farishtey bhejde ab apne,
rehmat apni karde mujhhpar;
lejaaenge tere paas mujhhe,
ke ab yahaan mann nahi lagta.

Sunday, 15 June 2014

{1}

1.  Lafz bhi kam reh jaein
      Karne ko bayaan
      Chaahat kuchh aisee hai meri
       Par kahoon bhi toh kisko
       Jise in jazbaaton ki
       Koi kadar hi nahi !

2.  Jee rahe hain ek tadap mein
      Unse milne ki kasak mein
      Yeh mohabbat kisi daleel ki
      Mohtaaj nahi
      Par jab unhone hi dagmaga diya yakeen
      Toh ab hum aur kya kahein?
        

Friday, 13 June 2014

Kyon?

Kyon khushnuma si lagtee hai zindagi,
Kyon meherbaan khuda lagta hai mujhhpar,
Kyon lamhein har pyaar se mehekte lagte hain,
Kyon har baar koi ek baat,
Maahaul bigaad deti hai,
Aur jeena achanak bojhh sa lagne lagta hai !

Tuesday, 27 May 2014

Log Kuchh Aise Bhi Hote Hain

Log kuchh aise bhi hote hain,
Zubaan se meethhe hote hain,
Dil ke chhote hote hain,
Zaroorat mein apne hote hain,
Nahi toh paraye,
Ehsaan faramosh hote hain woh log,
Na toh khud ke na toh kisi aur ke ho sakte hain.

Tuesday, 6 May 2014

Band kamre mein bilakhti huee si ,
bujhhe se dil mein sisaktee huee si ,
aankhein moondkar roti huee si,
Sabhi yaadon ko samete huee si;
woh bhi aakhir ik jaan hai,
uska bhi to aatma samman hai
Par ab bohot der ho chuki hai
 kyonki woh kuchh nahi,
bas ik bujhhti huee si lau hai,
ghutatee huee si saanson ki dor hai.

Wednesday, 30 April 2014

Kaun kehta hai ki dil kamzor hota hai?
Vaar par vaar hota hai
Phir bhi yeh hansta hai
Chot par chot lagtee hai
Phir bhi khush hota hai

Waqt marham nahi zakhm ban gaya hai
Kaatne se bhi nahi Kat ta hai
Yeh kaagaz ka woh tukdaa hai
Jise sabne masochkar rakh diya hai

Ae dil, ab toh rode
Aakhir kamzor hone mein harz hi kya hai !

Muskaan ki Guzaarish

Ehsaas kuchh aisa hai
Aaj iss pal ka
Maano bujhha sa ik dil
Har lamha yaad kar raha hai

Tamanna kuchh aisee hai
Aaj iss pal ki
Maano unhein churaane ko
Saazishein kar raha hai yeh dil

Main hu yahan
Par nahi hu yahan
Maano mehez jism hain alag
Par roohein nahi hain judaa

Dukhee hote hain woh
Toh aankhein nam yahan hoti hain
Hum bewajah muskura rahe hain yu
Ki shayad
Lab unke bhi ik muskaan ko
Ho jaein majboor

Ardaas

Teri kaaynaat ka ek tara thhe hum,
Toh kyon jaan dalkar
Bhejdiya yu zameen par!

Tere daaman mein jo sukoon hai
Ae rab
Ho sake toh ab lautaade.