Saturday, 28 June 2014

Waqt aa gaya hai....

Aahat huee hai kuchh,
Ek awaaz si huee hai,
Chownke hain yeh kaan,
Maano kisi daal se,
Sookha patta koi gira ho.

Aahat hai yeh toh,
Kadmon ki kisike,
Dikh rahi hai jaise,
Ek tez roshni si.

Ehsaas phir yeh hua,
Ki aagaya hai woh aakhir,
Lene ko mujhhe,
Ki aazad aaj yeh rooh hogee.

Raakh hone ka waqt aa gaya hai,
Iss shareer se rooh ka
Alag hone ka waqt aa gaya hai,
Ki sabse
Ab vidaa lene ka waqt aa gaya hai.

Saturday, 21 June 2014

Kho Diya Hai Tumne Mujhhe....

Itna nahi thha ashaant yeh mann,
Jitna umad raha hai
Toofaan aaj ismein,
Samajhna nahi ki aapa
Kho baithhee hu main,
Kyonki zalzala yeh laae tumhee ho.

Kyon insaan mukar jata hai,
Vaadon se apne,
Kyon bhool jata hai,
Woh nibhhani thhee jo kasmein?

Khair ab hai ho chukee bohot der,
Bacha nahi hai rishta koi dil ka.
Chalte rehna hai bas yuhee,
Saath jabtak yeh kadam denge,
Kise pata kal zindagi meri,
Koi mod alag lele.

Khokar mujhhe koi bhi,
Pachhtawa tum na karna,
Kyonki ab toh humdum,
Gunjaesh uski bhi na rahi.

Maaf karna mujhhe,
Ki chaahkar bhi iss dil mein,
Pyaar woh nahi laa sakti hu ab,
Kyonki baar baar thhokaron se toh,
Pathhar bhi tootjaate hain.

Kadar ki nahi tumne,
Chot jab bhi dil ko dee,
Ki ab woh sirf chot nahi,
Kabhi na bhare woh ghaav bangae hain.

Saath bhale hi rehna ho
Par lagaav nahi raha koi,
Thhak gaee hu ab toh rote rote bhi,
Maayne kho chuke hain aansu bhi apne.

Bikhre hue ko jodne ka,
Faayda ab kuchh nahi,
Kho diya hai tumne mujhhe,
Ki main ab tumhaari kuchh bhi nahi !

Friday, 20 June 2014

Rehmat Kar

Poochhta jo ek baar,
mujhhse woh khuda;
kya jaana hai zameen par,
ae rooh tujhhe?
sar hilakar mana kardeti,
aana nahi thha ,
iss jism ki paushakh mein mujhhe;
farishtey bhejde ab apne,
rehmat apni karde mujhhpar;
lejaaenge tere paas mujhhe,
ke ab yahaan mann nahi lagta.

Sunday, 15 June 2014

{1}

1.  Lafz bhi kam reh jaein
      Karne ko bayaan
      Chaahat kuchh aisee hai meri
       Par kahoon bhi toh kisko
       Jise in jazbaaton ki
       Koi kadar hi nahi !

2.  Jee rahe hain ek tadap mein
      Unse milne ki kasak mein
      Yeh mohabbat kisi daleel ki
      Mohtaaj nahi
      Par jab unhone hi dagmaga diya yakeen
      Toh ab hum aur kya kahein?
        

Friday, 13 June 2014

Kyon?

Kyon khushnuma si lagtee hai zindagi,
Kyon meherbaan khuda lagta hai mujhhpar,
Kyon lamhein har pyaar se mehekte lagte hain,
Kyon har baar koi ek baat,
Maahaul bigaad deti hai,
Aur jeena achanak bojhh sa lagne lagta hai !